Ram Avtar movie song lyrics
TERI BEWAFAI KA SHIKWA KAROON

Lyrics

Tera naam jaan-e-wafa hai
Magar tu badi bewafa hai
Meri jaan tujhpar fida hai
Magar tu badi bewafa hai

Teri bewafai ka shikwa karoon to
Teri bewafai ka shikwa karoon to
Yeh meri mohabbat ki tauheen hogi
Teri bewafai ka shikwa karoon to
Yeh meri mohabbat ki tauheen hogi
Bhari bazm mein tujhko ruswa karoon to
Bhari bazm mein tujhko ruswa karoon to
Yeh meri sharafat ki tauheen hogi
Teri bewafai ka shikwa karoon to
Yeh meri mohabbat ki tauheen hogi

 

Na mehfil mein hongi, na mele mein hongi
Na mehfil mein hongi, na mele mein hongi
Yeh aapas ki baatein akele mein hongi
Main logon se teri
Main logon se teri shikayat karoon to
Yeh meri shikayat ki tauheen hogi
Teri bewafai ka shikwa karoon to
Yeh meri mohabbat ki tauheen hogi

Suna hai tera aur bhi ik balam hai
Suna hai tera aur bhi ik balam hai
Magar ghum na kar tujhko meri kasam hai
Tujhe besharam
Tujhe besharam bemurawwat kahoon to
Yeh meri murawwat ki tauheen hogi

Teri bewafai ka shikwa karoon to
Yeh meri mohabbat ki tauheen hogi
Bhari bazm mein tujhko ruswa karoon to
Yeh meri sharafat ki tauheen hogi
Teri bewafai ka shikwa karoon to
Yeh meri mohabbat ki tauheen hogi
Teri bewafai ka shikwa karoon to